Mujh Jaisa Mera Koi…

Mujh Jaisa Mera Koi

Kuch aise musafir se aaj hue hum rubaroo
Ki unki shaqsiyat ka humpar ek gehra asar sa ho gaya
Hum dekhte rahe fir raah unki apni umeed bhari nighahon se
Na jaane woh bhala insaan humare andar hi kahin kho gaya.

Yeh nighayen humari thi jo unhe dhundne se na thakti
Yeh kaano k parde jo unki ek awaaz ko tarse
Inn hoton ko bhi thi kai kahaniyan bayaan karne ki khwaish
Na jaane kyu woh humari rooh se milkar kahin dur fanaa ho base.

Woh Dil ke khaas kone meh rahe, yeh khawish humne zaya ki thi
Woh jism se dur na ho paaye, yeh khuda se kabhi dua bhi maang li thi
Par jagah k badle, hum poora Dil hi tofhe meh de baithe
Aur seene meh khamoshiyon ko cheerti sirf apne dhadkano ki goonj sunai deti rehti thi.

Ab khojte nahi hum unhe galiyon meh, raaho meh, chaubaaro meh
Na gardisht ke sitrao meh, na apne karibi yaaro meh
Kahi baithe dur hum akele yuhi nazaro aur nazariyon ko samajne ki koshish karte hue
Na jaane kyu khojte rahe apne aap ko, mehfilo meh bazaaro meh.

Na aata sandesa, na aati koi khabar
Humari muskurahat hi bann gayi thi humare rooh ki ek kabar
Jo talaashte hum itni shiddat se saari umarr bhar
Jo toh humesha se tha wahi, dafnaya hua, humare hi bheetar

Toh chalo fir aaj unhe aazaad kare
unhe bulaye nazro ke samne aur apne saare sawaal kare
Par umeed iss baat ki hai kahin woh sahi jawaab na de baithe
Baate bhi saari ho jaaye aur woh koi aawaaz bhi na kare.

Mujh Jaisa Mera Koi

Keep 😊 always

2 comments

Leave a comment